Tum mujhe chahti ho...
Main tumhe chahta hun...
Hamare pyaar ki sacchai aur gehrai...
Hum dono bakhubi jante hai..
Par us pyaar ko jatane..
Roz baat ho...
...zaroori to nahi..
Mana ki jab hum pyaar me hote hai,
Har waqt unse baat karne ko man karta hai..
Baton me koi khas Matlab ho na ho...farak nahi padta..
Bas aawaz sunkar sukun aa jata hai..
Tumse baat karne mere paas waqt hai..
Par us waqt tum bhi free ho..
...zaroori to nahi.
Tumhari apni ek dunia hai.. Aur meri apni..
Tumhare apne kuch sapne hai.. Aur mere apne..
Ek rishte se ummeed hoti hai.. Ki wo apki takat bane kamzori nahi..
Mere lie to hamara rishta ek takat hai...
Par tere lie bhi ho...
...zaroori to nahi..
Muze ye ehsaas hai ... Ki tum ho.
Tumhe ye ehsaas hai ... Ki main hun..
Hamari zindagi rail ki un patriyon ki tarah hai,
Jo saath to hai..
Par ek nahi..
Tumhara apna naseeb hai..
Mera apna mukkaddar...
Hum dono apni zindagi me mashroof hai..
Is masroofiyat se.. Roz pyaar ke lie waqt mile..
....Zaroori to nahi..
Kehte hai yaad unhe kia jata hai jinhe bhool jao..
Tere saath bitaya har pal mere lie anmol hai..
Unka ehsaas har waqt saath rehta hai..
Bakhuda tu bhi us ehsaas se juda nahi ho pati hogi..
Sach me ek alag rishta hai, Tera aur mera..
Main yahan .... Tu wahan...
Meri apni zindagi... Teri apni..
Meri apni masroofiyat... Teri apni...
Sukun hai ki ab bhi rishta kayam hai...
Bhule bisre kabhi baat ho jae...
Ya ki bas ye khabar mil jae...
"Wo thik hai"
Bas itna kaafi hai...
Par roz is pyaar ko jatane... Baat ho...
zaroori to nahi...
0 टिप्पणियाँ:
एक टिप्पणी भेजें