7 मार्च 2020

Aage hai Brahman


Aage hai Brahman,
Kya hai iska karan?
Kya hai koi nivaran?
Kya hai koi margadarshan?

Khol le nazar apni,
Dekh woh jo tuze nahi dekhni,
Bhale hi tera varn, jat nich,
Magar prakriti thairati, na
Bhinna, na nich.
Ban Insan tu aur dekh,
Aage hai brahman.

Tu deta hai saath uska,
Jo na hota tere bhale ka,
Tu hai jata usse lene mukti,
Saath bhakti, ki mile kuch Shakti,
Magar jindagi pakhand mein phasti.
Jo hota tere dukh ka Karan,
Aur bas aage hote brahman.

Chod  jat pat, Varna ke bandhan,
Le naya janma, chod purane varnan,
Prakriti tere saath hai,
Jo swayam teri kaya hai,
Kar upyog uska, rakh jaise भगवन,
Yehi tere dukh ka nivaran.

Ban ja ab tu sraman,
Jo karta ayesa bhraman,
Karta sangharsh, leta shikshan,
Ho jate use Satya ke darshan,
Ki ban jata ayesa sangathan,
Aur dhaya jate sare pakhand,
Yehi hai tera margadarshan.

0 टिप्पणियाँ:

एक टिप्पणी भेजें