7 मार्च 2020

Kahi Andhera Kahi Ujala

Kahi andhera,
Kahi ujala,
Kabhi pyara,
Toh kabhi nagawara.

Kabhi chalte,
Kabhi phisalte,
Kabhi jeeta,
Toh Kabhi hara,

Kabhi khushiya,
Kabhi Gam,
Kabhi milna,
Toh Kabhi bichdna.

Kisi ki mohobaat,
Kisi ka fasana,
Kisi ka hasna,
Kisi ka rulana.

Jindagi hamesha hai,
Kabhi andhera,
Toh kabhi ujaala.

0 टिप्पणियाँ:

एक टिप्पणी भेजें