7 मार्च 2020

Waqt

Waqt kya tum wahi waqt ho,
Jo kabhi rukta nahi kabhi thamta nahi,

Waqt mein toh mein bhi jiya hoon,
Tumhari shurwat tab hui,
Jab mein tumse anjan tha,
Bas us waqt ka intna yad hai,

Thoda bada hua waqt bhi badla,
Maa ka pyar,
mithi toffee,
Master ji ki wo daat,
Aur school ki ghanti,
Us waqt ki yehi pehchan thi,

Waqt fir badla,
Ek pyar,
Usse milna usse baaten,
Hasin mulakate,
Laga ki tum the hi nahi,

Magar tum waqt ho,
Kaise rukoge,
Tum badhe mein bhi badha,
Meri Pehli Salary,
Sab khush the,
Mein bhi khush tha,
Bohot khushi ka waqt tha,

Waqt aage badha,
Kuch hua,
mein anjani raho se ghira tha,
sab samazh se pare tha,
Kisi ka saath na tha,
Shayad bura waqt tha,
phir koi apna mila,
Waqt badla,

Tum fir badhe,
Yeh to tumhari fitrat hai,
Mein waha hoon jaha sab hote hai,
Sab badal gaye,
Tum bhi kya samzhoge,
Chodo tum toh waqt ho,

Badlana tumhari fitrat mein hai.

0 टिप्पणियाँ:

एक टिप्पणी भेजें