7 मार्च 2020

Maa

Pehle jab ghabrate tha..
Anchal mai tere chup jata tha..
Gazab si taqat aa jati thi
Jab tera hath mujhe sahlata tha..

Ghabrahat toh aaj bhi hoti hai
Par kisi ko nii batata hoon
Dar ko jebon mein chupa kar
Samajhdariya oodh so jata hoon

Jab dost mujhe rulate the
Tujhse mein sikayat lagwata tha
Fir teri godi mein sar rakh kar
Masoomiyat se so jata tha

Kabhi pyaar se tu mujhe samjhati thi
Meri galtiyan mujhe batati thi
Dusro ki dant se bachati thi kabhi
Kabhi khud dant lagati thi..

Dil toh aaj bhi dukta hai logo ke baato se
Par aansuon ko aakho hi mein rakhna seekh gaya hoon
Galtiyan toh aaj bhi karta hoon mai
Par galtiyo ko khud hi sambhalna seekh gaya hoon

Aaj bhi bhool jata  hoon chata le jana
Baarishon me aaj bhi bheeg jata hoon
Par ab tu chinta mat karna
Ab mein khud ka khayal rakhna seekh gaya hoon

Ab jab main tujhse miln aaunga
Sabki sikayat tujhse lagaunga
Tu sar par haath rakh dena phr se
Aur main phir se teri godi main sar rakh kar ke so jaaunga....

1 टिप्पणी: