7 मार्च 2020

Mashroof

Abhi #masroof hu.. fir kabhi fursat me sochunga..
Ki tuze yaad rakhne me kya kya bhul Gaya..
Shayad hi Aisa koi pal guzra hoga..
Jisme zehan me tu nahi thi..
Deedon se to kabhi Deedar Kam hi hua tera..
Par SAR jhukaun to tu dikhti zaroor thi..
Isi bhulawe me ki tu hai.. Main bahut kuch kho Gaya..
Abhi masroof hu... Fir kabhi fursat me sochunga...
Ki tuze yaad rakhne me kya kya bhul Gaya..

Ajkal kuch Yun lagne Laga hai...
Tum nahi aaoge..
Yun to tumne mujhe kabhi dilasa bhi nahi Dia tha...
Main hi shayad kuch galat samajh gaya..
Move on.. to nahi kahunga
Par Haan.. ab tuze bhulane ki koshish hu kar Raha..
Abhi masroof hu... Fir kabhi fursat me sochunga..
Ki tuze yaad rakhne me kya kya bhul Gaya...

Tere kaabil tha ya nahi pata nahi..
Bas hamara saath mere lie ek fasaana ho Gaya...
Teri masroofiyat tuze Mubarak ho..
Teri zindagi tuze Mubarak ho..
Suna hai ki "yaad unhe karte hai jinhe bhul jaya karte hai"..
Aisa kabhi nhi ho sakta ki bhul jau tuze..
Koshish zaroor rahegi ki.. tuze pareshan na Karu...
Tu bas hamesha khush rehna...
Mera kya hai..
Abhi masroof hu... Fir kabhi fursat me sochunga...
Ki tuze yaad rakhne me kya kya bhul Gaya...

0 टिप्पणियाँ:

एक टिप्पणी भेजें