Apni masroofiyat se waqt nikal kar,
Mera ek Chota sa kaam kar do na...
Ek accha sa zakhm muze ata kar do na...
Pyaar ki ummed bas ummeed hi reh gai hai..
Judai bhi, teri yaden mehsoos nahi hone deti...
Dil tut gaya hai.. Par bikhra nahi hai...
Lagta hai tu dur hai.. Par juda nhi hai...
Muze is kashmakash se azad kar do na..
Ek accha sa zakhm muze ata kar do na...
Main aaj bhi teri pehli nazar me kaid hun..
Muzpar ek nazar daal kar muze aazad kar do na...
Suna hai tum bahut sacche ho... Jhut nahi bolte...
To apne dil se bhi ek baar mera sach bol do na...
Thak gaya hu intezaar karte karte...
Aaoge bhi ya nhi... Kam se kam ye to bata do na...
Ek accha sa zakhm muze ata kar do na...
Aaj bhi jab bhi jheel kinare jata hu...
'Harf dar harf' yaad aati ho tum..
Tumhare huzur me yahan Jo nazme likhi thi...
Unki yadon me kho jata hu..
Yun to dunia ass pass hoti hai ..
Par tanha ho jata hu...
Aakar muze is tanhai se nikal do na...
Ek accha sa zakhm muze ata kar do na...
Ab to ye yakeen sa hone laga h ki tum nahi aaoge...
Ye zindagi shayad teri yadon ke sahare hi beetegi...
Waise tumne koi wafa ka wada kia bhi nhi tha...
Ye main hi kuch aur soch baitha...
Tum apni zindagi banane me mashroof rahi..
Main sarfira tumhe apni zindagi bana baitha...
Aakar ye parda hata do na..
Ek accha sa zakhm muze ata kar do na...